rafta-rafta ishq ko KHud-agahi hone lagi
rafta-rafta ishq ko ḳhud-āgahī hone lagī
duur kuchh barham-mizājī husn kī hone lagī
allah allah girya-e-shabnam pe bhī haiñ ḳhanda-zan
bār-e-ḳhātir mujh ko phūloñ kī hañsī hone lagī
dar-haqīqat ye mire zauq-e-nazar kā faiz hai
husn kī duniyā meñ paidā dil-kashī hone lagī
shaiḳh jab ishq-e-butāñ meñ ho ga.e nā-kāmyāb
imtihānan phir ḳhudā kī bandagī hone lagī
un ke kūche meñ bhī jaanā mujh ko āsāñ ho gayā
pardā-posh-e-ārzū dīvāngī hone lagī
jor se kuchh kam nahīñ un kī karam-farmā.iyāñ
barsar-e-bāzār ham se dil-lagī hone lagī
āshiyāñ kī ḳhair ho yā-rab ye kyā andher hai
shab ko gulshan kī taraf kyoñ raushnī hone lagī
faiz 'sāhir' jāniye is ko janāb-e-'josh' kā
ab hamārī shā.erī bhī sāhirī hone lagī
rafta-rafta ishq ko KHud-agahi hone lagi
dur kuchh barham-mizaji husn ki hone lagi
allah allah girya-e-shabnam pe bhi hain KHanda-zan
bar-e-KHatir mujh ko phulon ki hansi hone lagi
dar-haqiqat ye mere zauq-e-nazar ka faiz hai
husn ki duniya mein paida dil-kashi hone lagi
shaiKH jab ishq-e-butan mein ho gae na-kaamyab
imtihanan phir KHuda ki bandagi hone lagi
un ke kuche mein bhi jaana mujh ko aasan ho gaya
parda-posh-e-arzu diwangi hone lagi
jor se kuchh kam nahin un ki karam-farmaiyan
barsar-e-bazar hum se dil-lagi hone lagi
aashiyan ki KHair ho ya-rab ye kya andher hai
shab ko gulshan ki taraf kyon raushni hone lagi
faiz 'sahir' jaaniye is ko janab-e-'josh' ka
ab hamari shaeri bhi sahiri hone lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.