rafta rafta KHwahishon ko muKHtasar karte rahe
rafta rafta ḳhvāhishoñ ko muḳhtasar karte rahe
rafta rafta zindagī ko mo'atabar karte rahe
ik ḳhatā to umr bhar ham jaan kar karte rahe
fāsle baḌhte ga.e phir bhī safar karte rahe
ḳhud-farebī dekhiye sham.eñ bujhā kar raat meñ
ham ujāloñ kī tamanna tā-sahar karte rahe
ham-safar jā pahuñche kab ke manzil-e-maqsūd par
ham-ḳhayāloñ meñ talāsh-e-rahguzar karte rahe
vo bhī kuchh masrūf thā ai dost kār-e-zīst meñ
ham bhī apnī ḳhvāhishoñ ko darguzar karte rahe
purze purze karke us ne yuuñ diyā ḳhat kā javāb
muddatoñ tak us kā mātam nāma-bar karte rahe
chārāgar to kuchh ilāj-e-dil na kar paa.e 'suhaib'
ham marīz-e-dil ilāj-e-chārāgar karte rahe
rafta rafta KHwahishon ko muKHtasar karte rahe
rafta rafta zindagi ko mo'atabar karte rahe
ek KHata to umr bhar hum jaan kar karte rahe
fasle baDhte gae phir bhi safar karte rahe
KHud-farebi dekhiye shamen bujha kar raat mein
hum ujalon ki tamanna ta-sahar karte rahe
ham-safar ja pahunche kab ke manzil-e-maqsud par
ham-KHayalon mein talash-e-rahguzar karte rahe
wo bhi kuchh masruf tha ai dost kar-e-zist mein
hum bhi apni KHwahishon ko darguzar karte rahe
purze purze karke us ne yun diya KHat ka jawab
muddaton tak us ka matam nama-bar karte rahe
chaaragar to kuchh ilaj-e-dil na kar pae 'suhaib'
hum mariz-e-dil ilaj-e-chaaragar karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.