rafta rafta manzar-e-shab tab bhi aa jaenge
rafta rafta manzar-e-shab tab bhi aa jaenge
Khushbir Singh Shaad
MORE BYKhushbir Singh Shaad
rafta rafta manzar-e-shab taab bhī aa jā.eñge
niiñd to aa jaa.e pahle ḳhvāb bhī aa jā.eñge
kyā pata thā ḳhuun ke aañsū rulā deñge mujhe
is kahānī meñ kuchh aise baab bhī aa jā.eñge
ḳhushk āñkhoñ ne to shāyad ye kabhī sochā na thā
ek din sahrāoñ meñ sailāb bhī aa jā.eñge
hausle yuuñ hī agar baḌhte ga.e to dekhnā
sāhiloñ tak ek din girdāb bhī aa jā.eñge
bas zarā milne to do merī tabāhī kī ḳhabar
dil dukhāne ke liye ahbāb bhī aa jā.eñge
aap kī bazm-e-mohazzab meñ nayā huuñ 'shād' maiñ
aate aate bazm ke ādāb bhī aa jā.eñge
rafta rafta manzar-e-shab tab bhi aa jaenge
nind to aa jae pahle KHwab bhi aa jaenge
kya pata tha KHun ke aansu rula denge mujhe
is kahani mein kuchh aise bab bhi aa jaenge
KHushk aankhon ne to shayad ye kabhi socha na tha
ek din sahraon mein sailab bhi aa jaenge
hausle yun hi agar baDhte gae to dekhna
sahilon tak ek din girdab bhi aa jaenge
bas zara milne to do meri tabahi ki KHabar
dil dukhane ke liye ahbab bhi aa jaenge
aap ki bazm-e-mohazzab mein naya hun 'shad' main
aate aate bazm ke aadab bhi aa jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.