rafta rafta sanwar rahi hai raat
rafta rafta sañvar rahī hai raat
maañg tāroñ se bhar rahī hai raat
barf kī choTiyoñ se ho ho kar
farsh-e-gul par utar rahī hai raat
ḳhvāb palkoñ pe ab nahīñ sajte
ab to un par Thahar rahī hai raat
maiñ sahar kī talāsh kyā kartā
merī to ham-safar rahī hai raat
nuur kī kashtiyāñ haiñ sāhil par
pāniyoñ meñ utar rahī hai raat
apnā saaya bhī saath chhoḌ gayā
asal meñ mo'atabar rahī hai raat
koī le jaise āḳhrī hichkī
is qadar muḳhtasar rahī hai raat
kyoñ na 'jāved' riñd ho jaa.e
yuuñ ishāre hī kar rahī hai raat
rafta rafta sanwar rahi hai raat
mang taron se bhar rahi hai raat
barf ki choTiyon se ho ho kar
farsh-e-gul par utar rahi hai raat
KHwab palkon pe ab nahin sajte
ab to un par Thahar rahi hai raat
main sahar ki talash kya karta
meri to ham-safar rahi hai raat
nur ki kashtiyan hain sahil par
paniyon mein utar rahi hai raat
apna saya bhi sath chhoD gaya
asal mein mo'atabar rahi hai raat
koi le jaise aaKHri hichki
is qadar muKHtasar rahi hai raat
kyon na 'jawed' rind ho jae
yun ishaare hi kar rahi hai raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.