rafta rafta tu ye nafrat ki na diwar uTha
rafta rafta tū ye nafrat kī na dīvār uThā
zor-e-bāzū se tū ik baar hī talvār uThā
apne hone kī tū pyāroñ ko gavāhī de de
farz terā hai tū kāñdhe pe sabhī baar uThā
tū ne dekhe hī nahīñ haiñ vo kabhī ‘āriz-o-lab
bāġhbāñ apne gul-e-husn kā me'yār uThā
tū ne pāzeb kī dekhī na sunī hai chhan-chhan
laakh sāzoñ se tū fankār ye jhankār uThā
merī tahzīb ijāzat nahīñ detī hargiz
mere qadmoñ meñ na rakh aur ye dastār uThā
saañs jo mujh se kare hai vo taqāzā hai bajā
'ishq bhī kar tū magar kaam kī raftār uThā
mere ḳhush-fahm tū bekār kī sochoñ se nikal
kis ne bechā hai vatan dekh le aḳhbār uThā
daaj ke dukh bhī zarā dekh paḌosī ghar meñ
apnī 'azmat ke tū phir shauq se mīnār uThā
rafta rafta tu ye nafrat ki na diwar uTha
zor-e-bazu se tu ek bar hi talwar uTha
apne hone ki tu pyaron ko gawahi de de
farz tera hai tu kandhe pe sabhi bar uTha
tu ne dekhe hi nahin hain wo kabhi ‘ariz-o-lab
baghban apne gul-e-husn ka me'yar uTha
tu ne pazeb ki dekhi na suni hai chhan-chhan
lakh sazon se tu fankar ye jhankar uTha
meri tahzib ijazat nahin deti hargiz
mere qadmon mein na rakh aur ye dastar uTha
sans jo mujh se kare hai wo taqaza hai baja
'ishq bhi kar tu magar kaam ki raftar uTha
mere KHush-fahm tu bekar ki sochon se nikal
kis ne becha hai watan dekh le aKHbar uTha
daj ke dukh bhi zara dekh paDosi ghar mein
apni 'azmat ke tu phir shauq se minar uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.