raftar jitni tez rakho koi had nahin
raftār jitnī tez rakho koī had nahīñ
maiñ raushnī huuñ mujh ko kisī se hasad nahīñ
insān apnī jang kā ḳhud faisla kareñ
ḳhushnūdī chāhtā huuñ ḳhudā kī madad nahīñ
mantiq se tez hotī hai hiss-e-jamāliyāt
mere kiye hue kisī da.ave kā radd nahīñ
ghabrā ke camere kī taraf dekhtā hai kyā
tasvīr khīñch legā tire ḳhāl-o-ḳhad nahīñ
āzād rahne vāloñ kī ḳhātir bharā jahān
mahsūr hone vāloñ kī koī rasad nahīñ
raftar jitni tez rakho koi had nahin
main raushni hun mujh ko kisi se hasad nahin
insan apni jang ka KHud faisla karen
KHushnudi chahta hun KHuda ki madad nahin
mantiq se tez hoti hai hiss-e-jamaliyat
mere kiye hue kisi dawe ka radd nahin
ghabra ke camere ki taraf dekhta hai kya
taswir khinch lega tere KHal-o-KHad nahin
aazad rahne walon ki KHatir bhara jahan
mahsur hone walon ki koi rasad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.