raftar raushni ki musaKHKHar na kar sake
raftār raushnī kī musaḳhḳhar na kar sake
saa.e ko apne qad ke barābar na kar sake
jismoñ pe shaḳhsiyat kī taheñ jam ke rah ga.iiñ
ḳhud ko ham apnī zaat se bāhar na kar sake
māhaul kī giraft bhī kis darja saḳht thī
apnī salāhiyat ham ujāgar na kar sake
thā iztirāb dil kā kuchh aisā mo.āmla
ham intizār-e-jalva-e-mahshar na kar sake
sūraj kī raushnī ko muqayyad to kar liyā
dil kā siyāh-ḳhāna munavvar na kar sake
jazbāt garche sher ke qālib meñ Dhal ga.e
lafzoñ ke uuñch niich barābar na kar sake
ham aane vaalī nasl se sharminda haiñ 'asar'
insāniyat kā naam ujāgar na kar sake
raftar raushni ki musaKHKHar na kar sake
sae ko apne qad ke barabar na kar sake
jismon pe shaKHsiyat ki tahen jam ke rah gain
KHud ko hum apni zat se bahar na kar sake
mahaul ki giraft bhi kis darja saKHt thi
apni salahiyat hum ujagar na kar sake
tha iztirab dil ka kuchh aisa moamla
hum intizar-e-jalwa-e-mahshar na kar sake
suraj ki raushni ko muqayyad to kar liya
dil ka siyah-KHana munawwar na kar sake
jazbaat garche sher ke qalib mein Dhal gae
lafzon ke unch nich barabar na kar sake
hum aane wali nasl se sharminda hain 'asar'
insaniyat ka nam ujagar na kar sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.