rafu kahin se kiya to kahin se bandh diya
rafū kahīñ se kiyā to kahīñ se bāñdh diyā
ki ham ne chāk-e-garebāñ yaqīñ se bāñdh diyā
uḌā ke le hī na jaa.eñ ye āñdhiyāñ is ko
so āsmān pakaḌ kar zamīñ se bāñdh diyā
koī jalāl mirī aañkh meñ umaD aayā
mirī nigāh ne dushman kamīñ se bāñdh diyā
abhī to sīkhnā thā sar uThā ke jiinā mujhe
ye kyā ki sajde ko merī jabīñ se bāñdh diyā
use na maiñ huuñ na vo hai mujhe pasand magar
kisī ne saañp mirī āstīñ se bāñdh diyā
mirī talāsh to ik zaat thī magar 'shāhid'
mujhe savāb ne ḳhuld-e-barīñ se bāñdh diyā
rafu kahin se kiya to kahin se bandh diya
ki hum ne chaak-e-gareban yaqin se bandh diya
uDa ke le hi na jaen ye aandhiyan is ko
so aasman pakaD kar zamin se bandh diya
koi jalal meri aankh mein umaD aaya
meri nigah ne dushman kamin se bandh diya
abhi to sikhna tha sar uTha ke jina mujhe
ye kya ki sajde ko meri jabin se bandh diya
use na main hun na wo hai mujhe pasand magar
kisi ne sanp meri aastin se bandh diya
meri talash to ek zat thi magar 'shahid'
mujhe sawab ne KHuld-e-barin se bandh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.