rafugaron mein use kaun ab shumar kare
rafūgaroñ meñ use kaun ab shumār kare
ragoñ kī surḳh qabā.eñ jo taar taar kare
inhīñ se fasl-e-namakdāñ ugaa.ī jā.egī
na.ī sadī na.e zaḳhmoñ kā e.atibār kare
ḳhudā pe chhoḌ de kashtī ye us kī marzī hai
nadī meñ ġharq kare yā nadī ke paar kare
za.iif baap ko kāñdhe pe le ke chaltā hai
mirā ḳhudā mire bachche ko shahsavār kare
ye pattharoñ se banā hai ye dekhte rahnā
ye devtā kisī insān par na vaar kare
abhī maiñ fāqa-kashī ke mahāz-e-jang pe huuñ
mirī ġhazal se kaho merā intizār kare
maiñ dostī kī usī had meñ phir khaḌā huuñ 'riyāz'
abū-zafar ko jo dillī se be-dayār kare
rafugaron mein use kaun ab shumar kare
ragon ki surKH qabaen jo tar tar kare
inhin se fasl-e-namakdan ugai jaegi
nai sadi nae zaKHmon ka eatibar kare
KHuda pe chhoD de kashti ye us ki marzi hai
nadi mein gharq kare ya nadi ke par kare
zaif bap ko kandhe pe le ke chalta hai
mera KHuda mere bachche ko shahsawar kare
ye pattharon se bana hai ye dekhte rahna
ye dewta kisi insan par na war kare
abhi main faqa-kashi ke mahaz-e-jang pe hun
meri ghazal se kaho mera intizar kare
main dosti ki usi had mein phir khaDa hun 'riyaz'
abu-zafar ko jo dilli se be-dayar kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.