rag-e-jaan se lipaT kar sina-e-bismil mein rahta hai
rag-e-jaan se lipaT kar sina-e-bismil mein rahta hai
Qazi Abdur Rauf Anjum
MORE BYQazi Abdur Rauf Anjum
rag-e-jāñ se lipaT kar sīna-e-bismil meñ rahtā hai
vo but chehra sahī lekin hamāre dil meñ rahtā hai
baratne kā salīqa ho agar to baat hai bantī
zabāñ kā husn to alfāz kī jhilmil meñ rahtā hai
sazā kā ḳhauf to gumrāh kar detā hai munsif ko
hamārā ḳhuun nāhaq dīda-e-qātil meñ rahtā hai
hamārī aañkh meñ rahtā hai us kā husn kuchh aise
koī māshūq jaise parda-e-mahmil meñ rahtā hai
rukāvaT kyoñ bane āzād qaumoñ kī taraqqī meñ
vo ik andesha jo hālāt-e-mustaqbil meñ rahtā hai
musāfir jis ko apne azm kā ehsās ho jaa.e
kabhī raste meñ rahtā hai kabhī manzil meñ rahtā hai
rag-e-jaan se lipaT kar sina-e-bismil mein rahta hai
wo but chehra sahi lekin hamare dil mein rahta hai
baratne ka saliqa ho agar to baat hai banti
zaban ka husn to alfaz ki jhilmil mein rahta hai
saza ka KHauf to gumrah kar deta hai munsif ko
hamara KHun nahaq dida-e-qatil mein rahta hai
hamari aankh mein rahta hai us ka husn kuchh aise
koi mashuq jaise parda-e-mahmil mein rahta hai
rukawaT kyon bane aazad qaumon ki taraqqi mein
wo ek andesha jo haalat-e-mustaqbil mein rahta hai
musafir jis ko apne azm ka ehsas ho jae
kabhi raste mein rahta hai kabhi manzil mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.