rag rag mein meri phail gaya hai ye kaisa zahr
rag rag meñ merī phail gayā hai ye kaisā zahr
kyuuñ Dūbne lagā hai dhuñdlakoñ meñ saarā shahr
mujh ko jhiñjhoḌ detī haiñ lamhoñ kī āhaTeñ
uThtī hai mere jism meñ ik bebasī kī lahr
ye shab mire vajūd pe yuuñ TuuT paḌtī hai
jaise koī balā ho ki aaseb ho ki qahr
phūTā na muddatoñ se koī chashma-e-umīd
sūkhī paḌī huī hai mirī ḳhvāhishoñ kī nahr
chehre pe vaqt kī maiñ siyāhī malā karūñ
mujh ko bhī kuchh milā hai mashiyyat se kār-e-dahr
rag rag mein meri phail gaya hai ye kaisa zahr
kyun Dubne laga hai dhundlakon mein sara shahr
mujh ko jhinjhoD deti hain lamhon ki aahaTen
uThti hai mere jism mein ek bebasi ki lahr
ye shab mere wajud pe yun TuT paDti hai
jaise koi bala ho ki aaseb ho ki qahr
phuTa na muddaton se koi chashma-e-umid
sukhi paDi hui hai meri KHwahishon ki nahr
chehre pe waqt ki main siyahi mala karun
mujh ko bhi kuchh mila hai mashiyyat se kar-e-dahr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.