rag rag mein zahr phaila hua tishnagi ka tha
rag rag meñ zahr phailā huā tishnagī kā thā
sahrā kī dhuup thī ki safar zindagī kā thā
tārīkiyoñ kī tah meñ utartā chalā gayā
kuchh is qadar Darā huā dil raushnī kā thā
hone ke bāvajūd ham is bazm meñ na the
ehsās agar thā koī to apnī kamī kā thā
nādāniyāñ thiiñ us se jo kī thiiñ tavaqquāt
ḳhush-fahmiyāñ thiiñ varna kahāñ vo kisī kā thā
sub.heñ thiiñ gard gard to shāmeñ dhuāñ dhuāñ
ham jis jagah the qaht vahāñ raushnī kā thā
tashvīsh thī to baḌhtī huī bandishoñ pe thī
ehsās thā shadīd to āvārgī kā thā
'muztar' mizāj alag the magar us ke bāvajūd
rishta zarūr dhuup se kuchh chāñdnī kā thā
rag rag mein zahr phaila hua tishnagi ka tha
sahra ki dhup thi ki safar zindagi ka tha
tarikiyon ki tah mein utarta chala gaya
kuchh is qadar Dara hua dil raushni ka tha
hone ke bawajud hum is bazm mein na the
ehsas agar tha koi to apni kami ka tha
nadaniyan thin us se jo ki thin tawaqquat
KHush-fahmiyan thin warna kahan wo kisi ka tha
subhen thin gard gard to shamen dhuan dhuan
hum jis jagah the qaht wahan raushni ka tha
tashwish thi to baDhti hui bandishon pe thi
ehsas tha shadid to aawargi ka tha
'muztar' mizaj alag the magar us ke bawajud
rishta zarur dhup se kuchh chandni ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.