raghbat hai jinko wasl ki tere wajud se
raġhbat hai jin ko vasl kī tere vajūd se
tahlīl ho rahe haiñ fazāoñ meñ duud se
markaz banā huuñ dīda-e-arabāb-e-ġhaib kā
laayā gayā hai mujh ko jahān-e-shuhūd se
kāfir batā ke qatl unheñ kar diyā gayā
mar.ūb ho sake jo na dāġh-e-sujūd se
kamre meñ aa ke baiThā huuñ apne bujhā bujhā
jal jal ke terī mahfil-e-raqs-o-surūd se
ik ek naqsh ubhār duuñ tere jamāl kā
aage nikal ke fikr kī saarī quyūd se
vahshat meñ noch khā.ūñ na 'zīshān' ḳhud ko maiñ
chal duur mujh ko le ke tū merī hudūd se
raghbat hai jin ko wasl ki tere wajud se
tahlil ho rahe hain fazaon mein dud se
markaz bana hun dida-e-arabab-e-ghaib ka
laya gaya hai mujh ko jahan-e-shuhud se
kafir bata ke qatl unhen kar diya gaya
marub ho sake jo na dagh-e-sujud se
kamre mein aa ke baiTha hun apne bujha bujha
jal jal ke teri mahfil-e-raqs-o-surud se
ek ek naqsh ubhaar dun tere jamal ka
aage nikal ke fikr ki sari quyud se
wahshat mein noch khaun na 'zishan' KHud ko main
chal dur mujh ko le ke tu meri hudud se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.