ragon mein raat se ye KHun sa rawan hai kya
ragoñ meñ aaj bhī ye ḳhuun sā ravāñ hai kyā
vo dard-e-ishq haqīqat meñ jāvedāñ hai kyā
parind kis liye karte haiñ āshiyāñ se kuuch
unheñ bhī hājat-e-yak-gosha-e-amāñ hai kyā
ye ham jo chhūte haiñ har roz chāñd tāroñ ko
hamāre paañv tale koī āsmāñ hai kyā
havā meñ khel rahā hai jo abr kī sūrat
kisī makān se uḌtā huā dhuāñ hai kyā
ragon mein aaj bhi ye KHun sa rawan hai kya
wo dard-e-ishq haqiqat mein jawedan hai kya
parind kis liye karte hain aashiyan se kuch
unhen bhi hajat-e-yak-gosha-e-aman hai kya
ye hum jo chhute hain har roz chand taron ko
hamare panw tale koi aasman hai kya
hawa mein khel raha hai jo abr ki surat
kisi makan se uDta hua dhuan hai kya
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 70)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.