ragon mein zahr ka nashtar chubho diya maine
ragoñ meñ zahr kā nashtar chubho diyā maiñ ne
na raas aayā jo hañsnā to ro diyā maiñ ne
kahīñ pe koī mirā aks hī nahīñ miltā
kis intishār meñ ḳhud ko Dubo diyā maiñ ne
tum apne ḳhvāb kī āñkhoñ pe haath rakh lenā
matā-e-jāñ kī tamannā to kho diyā maiñ ne
vo roz merī anā ko zalīl kartā thā
use bhī apne lahū meñ Dubo diyā maiñ ne
tumhāre naam jo dil ke varaq pe raushan thā
vo ek harf-e-aqīdat bhī dho diyā maiñ ne
ragon mein zahr ka nashtar chubho diya main ne
na ras aaya jo hansna to ro diya main ne
kahin pe koi mera aks hi nahin milta
kis intishaar mein KHud ko Dubo diya main ne
tum apne KHwab ki aankhon pe hath rakh lena
mata-e-jaan ki tamanna to kho diya main ne
wo roz meri ana ko zalil karta tha
use bhi apne lahu mein Dubo diya main ne
tumhaare nam jo dil ke waraq pe raushan tha
wo ek harf-e-aqidat bhi dho diya main ne
- Book : Rifat mere khawab ki (Pg. 50)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.