rah-e-gham mein zikr un ka mera KHas ham-safar tha
rah-e-gham mein zikr un ka mera KHas ham-safar tha
Abdul Aziz Fitrat
MORE BYAbdul Aziz Fitrat
rah-e-ġham meñ zikr un kā mirā ḳhaas ham-safar thā
ġharaz un ke hī karam se safar apnā muḳhtasar thā
ye sarisht thī jabīñ kī ise tum muaaf kar do
na ḳhayāl-e-dard-e-sar thā na ḳhayāl-e-sang-e-dar thā
ġham-e-dil surūr ban kar mirī zindagī pe chhāyā
ġham-e-dil kī ḳhush-mazāqī se maiñ kitnā bā-ḳhabar thā
mire dostoñ ne jāñchā hai mirī suḳhan-varī ko
na maiñ sāhaib-e-hunar thā na maiñ ḳhādim-e-hunar thā
kabhī zulmatoñ kā shaidā kabhī nuur kā thā joyā
kabhī shab-parast thā maiñ kabhī kushta-e-sahar thā
na.ī manziloñ ke raste mire paaoñ chhū rahe haiñ
maiñ harīf-e-rahguzar huuñ maiñ harīf-e-rahguzar thā
baḌī muddatoñ meñ aa kar ye khulā hai mujh pe 'fitrat'
ki bayān-e-ġham kī ḳhātir maiñ zabān-e-chashm-e-tar thā
rah-e-gham mein zikr un ka mera KHas ham-safar tha
gharaz un ke hi karam se safar apna muKHtasar tha
ye sarisht thi jabin ki ise tum muaf kar do
na KHayal-e-dard-e-sar tha na KHayal-e-sang-e-dar tha
gham-e-dil surur ban kar meri zindagi pe chhaya
gham-e-dil ki KHush-mazaqi se main kitna ba-KHabar tha
mere doston ne jaancha hai meri suKHan-wari ko
na main sahaib-e-hunar tha na main KHadim-e-hunar tha
kabhi zulmaton ka shaida kabhi nur ka tha joya
kabhi shab-parast tha main kabhi kushta-e-sahar tha
nai manzilon ke raste mere paon chhu rahe hain
main harif-e-rahguzar hun main harif-e-rahguzar tha
baDi muddaton mein aa kar ye khula hai mujh pe 'fitrat'
ki bayan-e-gham ki KHatir main zaban-e-chashm-e-tar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.