rah-e-hayat mein chahat ko zindagani likh
rah-e-hayāt meñ chāhat ko zindagānī likh
fasāne chhoḌ ke sachchī sī ik kahānī likh
husūl-e-daulat-o-shohrat meñ mubtalā hai tū
husūl-e-daulat-o-shohrat ko zahar-ḳhvānī likh
suḳhan-varoñ ke qabīle kī tarjumānī kar
kalām-e-‘ishq ko valiyoñ kī rājdhānī likh
jo baḌh ke aap sitāroñ pe Dālte haiñ kamand
diloñ pe aise hī logoñ kī hukmrānī likh
mujhe batā ki kabhī 'ishq bhī kiyā tū ne
milā hai pyaar to qudrat kī mehrbānī likh
jo ashk ban ke mire dil kī aañkh se Tapkā
use sitāra samajh harf-e-āsmānī likh
fareb-kārī to ab 'aam ho ga.ī 'bāsit'
tū haq-shanās hai haq ko hī kāmrānī likh
rah-e-hayat mein chahat ko zindagani likh
fasane chhoD ke sachchi si ek kahani likh
husul-e-daulat-o-shohrat mein mubtala hai tu
husul-e-daulat-o-shohrat ko zahar-KHwani likh
suKHan-waron ke qabile ki tarjumani kar
kalam-e-‘ishq ko waliyon ki rajdhani likh
jo baDh ke aap sitaron pe Dalte hain kamand
dilon pe aise hi logon ki hukmrani likh
mujhe bata ki kabhi 'ishq bhi kiya tu ne
mila hai pyar to qudrat ki mehrbani likh
jo ashk ban ke mere dil ki aankh se Tapka
use sitara samajh harf-e-asmani likh
fareb-kari to ab 'am ho gai 'basit'
tu haq-shanas hai haq ko hi kaamrani likh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.