Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-e-hayat mein koi charagh hi na mila

Karrar Noori

rah-e-hayat mein koi charagh hi na mila

Karrar Noori

MORE BYKarrar Noori

    rah-e-hayāt meñ koī charāġh na milā

    kisī dimāġh se apnā dimāġh na milā

    ġham-e-zamāna se fursat to mil bhī saktī thī

    tumhārī yaad se lekin farāġh na milā

    silā-e-ḳhās lazzat ko umr-bhar tarse

    ki un ke haath se koī ayāġh na milā

    ba-juz latāfat ehsās-e-justujū dil meñ

    nigār-e-rafta koī surāġh na milā

    tum us se pūchhte ho lazzat-e-ġham-e-hijrāñ

    ġham-e-hayāt se jis ko farāġh na milā

    bas ab ye ḳhūn-e-tamannā ho nazr-e-vīrāna

    talāsh thī hameñ jis vo baaġh na milā

    tumhī batāo ki aise meñ kyā banāte ghar

    ki ghar ke vāste koī charāġh na milā

    har ek shaḳhs se hañs kar mile jo ham 'nūrī'

    hamāre siine meñ duniyā ko daaġh na milā

    rah-e-hayat mein koi charagh hi na mila

    kisi dimagh se apna dimagh hi na mila

    gham-e-zamana se fursat to mil bhi sakti thi

    tumhaari yaad se lekin faragh hi na mila

    sila-e-KHas ki lazzat ko umr-bhar tarse

    ki un ke hath se koi ayagh hi na mila

    ba-juz latafat ehsas-e-justuju dil mein

    nigar-e-rafta ka koi suragh hi na mila

    tum us se puchhte ho lazzat-e-gham-e-hijran

    gham-e-hayat se jis ko faragh hi na mila

    bas ab ye KHun-e-tamanna ho nazr-e-virana

    talash thi hamein jis ki wo bagh hi na mila

    tumhi batao ki aise mein kya banate ghar

    ki ghar ke waste koi charagh hi na mila

    har ek shaKHs se hans kar mile jo hum 'nuri'

    hamare sine mein duniya ko dagh hi na mila

    Source :
    • Book : Meri Gazal (Pg. 53)
    • Author : karar Noori
    • Publication : Rooh-e-Asar (Ishaat Ghar) (1983)
    • Edition : 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now