rah-e-hayat pe yun bach ke chal raha hun main
rah-e-hayāt pe yuuñ bach ke chal rahā huuñ maiñ
ki khaa.e Thokareñ koī sañbhal rahā huuñ maiñ
tafakkurāt ke īñdhan meñ jal rahā huuñ maiñ
ba-shakl-e-barf isī se pighal rahā huuñ maiñ
barā-e-raushnī sūraj bikher de kirneñ
zamīñ pe terī tamāzat se jal rahā huuñ maiñ
na zād-e-rāh na manzil kā hai pata mujh ko
safar tavīl hai ghar se nikal rahā huuñ maiñ
har ek daur ne baḌh kar mujhe salām kiyā
kharā huuñ qīmtī sikka huuñ chal rahā huuñ maiñ
balā se manzileñ mujh ko milīñ milīñ na milīñ
kisī ke naqsh-e-qadam par to chal rahā huuñ meñ
diyā hai dars jinheñ maiñ ne dard-mandī kā
unhīñ kī nazroñ meñ 'maqsūd' khal rahā huuñ maiñ
rah-e-hayat pe yun bach ke chal raha hun main
ki khae Thokaren koi sanbhal raha hun main
tafakkuraat ke indhan mein jal raha hun main
ba-shakl-e-barf isi se pighal raha hun main
bara-e-raushni suraj bikher de kirnen
zamin pe teri tamazat se jal raha hun main
na zad-e-rah na manzil ka hai pata mujh ko
safar tawil hai ghar se nikal raha hun main
har ek daur ne baDh kar mujhe salam kiya
khara hun qimti sikka hun chal raha hun main
bala se manzilen mujh ko milin milin na milin
kisi ke naqsh-e-qadam par to chal raha hun mein
diya hai dars jinhen main ne dard-mandi ka
unhin ki nazron mein 'maqsud' khal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.