rah-e-jafa ki nishani mein likh diya tujhko
rah-e-jafā kī nishānī meñ likh diyā tujh ko
ki apnī zinda kahānī meñ likh diyā tujh ko
kitāb-e-yād-e-nihānī meñ likh diyā tujh ko
vafā ne yūsuf-e-sānī meñ likh diyā tujh ko
ḳhamoshiyoñ se nahīñ naam likh sakī terā
to ab ke sho.ala-bayānī meñ likh diyā tujh ko
ye uñgliyāñ to use roktī rahīñ lekin
qalam ne zor-e-bayānī meñ likh diyā tujh ko
zabān chup thī ki thā pās-e-hurmat-e-ulfat
to dil ne chashm ke paanī meñ likh diyā tujh ko
vafūr-e-jazb ke aage na koī pesh chalī
taḌaptī yaad purānī meñ likh diyā tujh ko
uḌā ke laa.ī sabā terī ḳhushbueñ aise
ki maiñ ne raat kī raanī meñ likh diyā tujh ko
matā-e-dard ne uksāyā is tarah se 'nasīm'
ki maiñ ne zulm ke baanī meñ likh diyā tujh ko
rah-e-jafa ki nishani mein likh diya tujh ko
ki apni zinda kahani mein likh diya tujh ko
kitab-e-yaad-e-nihani mein likh diya tujh ko
wafa ne yusuf-e-sani mein likh diya tujh ko
KHamoshiyon se nahin nam likh saki tera
to ab ke shoala-bayani mein likh diya tujh ko
ye ungliyan to use rokti rahin lekin
qalam ne zor-e-bayani mein likh diya tujh ko
zaban chup thi ki tha pas-e-hurmat-e-ulfat
to dil ne chashm ke pani mein likh diya tujh ko
wafur-e-jazb ke aage na koi pesh chali
taDapti yaad purani mein likh diya tujh ko
uDa ke lai saba teri KHushbuen aise
ki main ne raat ki rani mein likh diya tujh ko
mata-e-dard ne uksaya is tarah se 'nasim'
ki main ne zulm ke bani mein likh diya tujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.