rah-e-junun jo nishan-e-qadam ikaTTha the
rah-e-junūñ jo nishān-e-qadam ikaTThā the
vo ham nahīñ the vajūd-o-‘adam ikaTThā the
hayāt asl ma'ānī meñ khul ke aa.ī thī
is ek saal meñ saare janam ikaTThā the
yahāñ maiñ apnī udāsī bitāne ā.ūñgā
kisī daraḳht pe likh do ke ham ikaTThā the
shab-e-firāq thī aur maiñ ḳhudā se ġhussa thā
falak pe saare nujūm ek dam ikaTThā the
tirī chhuan se ravāñ ho ga.e haiñ barjasta
hazāroñ sail-e-tamannā ke nam ikaTThā the
tumhārā hijr bahānā banā hai pichhloñ kā
ye mujh pe aaj khulā itne ġham ikaTThā the
hamārā zehn bhī masjid ke sahn jaisā rahā
jagah bahut thī magar log kam ikaTThā the
rah-e-junun jo nishan-e-qadam ikaTTha the
wo hum nahin the wajud-o-‘adam ikaTTha the
hayat asl ma'ani mein khul ke aai thi
is ek sal mein sare janam ikaTTha the
yahan main apni udasi bitane aaunga
kisi daraKHt pe likh do ke hum ikaTTha the
shab-e-firaq thi aur main KHuda se ghussa tha
falak pe sare nujum ek dam ikaTTha the
teri chhuan se rawan ho gae hain barjasta
hazaron sail-e-tamanna ke nam ikaTTha the
tumhaara hijr bahana bana hai pichhlon ka
ye mujh pe aaj khula itne gham ikaTTha the
hamara zehn bhi masjid ke sahn jaisa raha
jagah bahut thi magar log kam ikaTTha the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.