rah-e-junun mein chala yun main umr-bhar tanha
rah-e-junūñ meñ chalā yuuñ maiñ umr-bhar tanhā
ki jaise koī bagūlā kare safar tanhā
udāsī ruuh se guzrī hai is tarah jaise
ujaaḌ dasht meñ patjhaḌ kī dopahar tanhā
bhaTak rahī hai ḳhalāoñ meñ yuuñ nazar jaise
ho raat meñ kisī gumrāh kā guzar tanhā
guzar ga.e jaras-e-gul ke qāfile kab ke
takā kare yūñhī ab gard-e-rah-guzar tanhā
nasīm-e-sub.h mujhe bhī gale lagātī jā
maiñ vo diyā huuñ jalā hai jo rāt-bhar tanhā
nazar meñ thī bhare bāzār kī sī vīrānī
hujūm meñ bhī rahe ham nagar nagar tanhā
añdherī raat havā saḳht tez vahshat-e-dil
ham aisī shab meñ bhī phirte haiñ dar-ba-dar tanhā
musāfiroñ pe 'musavvir' na jaane kyā biitī
safīna aayā hai sāhil pe lauT kar tanhā
rah-e-junun mein chala yun main umr-bhar tanha
ki jaise koi bagula kare safar tanha
udasi ruh se guzri hai is tarah jaise
ujaD dasht mein patjhaD ki dopahar tanha
bhaTak rahi hai KHalaon mein yun nazar jaise
ho raat mein kisi gumrah ka guzar tanha
guzar gae jaras-e-gul ke qafile kab ke
taka kare yunhi ab gard-e-rah-guzar tanha
nasim-e-subh mujhe bhi gale lagati ja
main wo diya hun jala hai jo raat-bhar tanha
nazar mein thi bhare bazar ki si virani
hujum mein bhi rahe hum nagar nagar tanha
andheri raat hawa saKHt tez wahshat-e-dil
hum aisi shab mein bhi phirte hain dar-ba-dar tanha
musafiron pe 'musawwir' na jaane kya biti
safina aaya hai sahil pe lauT kar tanha
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 14)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.