rah-e-KHuda se na KHud ko kabhi juda karte
rah-e-ḳhudā se na ḳhud ko kabhī judā karte
ḳhudā jo chāhtā ham bhī ḳhudā ḳhudā karte
tumheñ bhī lafz-e-vafā hashr tak duā detā
jo tum bhī ai banī-ādam kabhī vafā karte
lihāz-e-ishq na hotā to ai mire hamdam
tamām umr tire haq meñ badduā karte
purānī baat ko chheḌā hai kyoñ sar-e-mahfil
zamān-e-nau ke the gar tum to kuchh nayā karte
ai mere yaar ḳhatā terī gar nahīñ hotī
to tere ashk bhalā tujh se kyoñ gila karte
qubūl hotī duā.eñ agar mirī 'suhail'
to ham bhī sub.h se tā-shām bas duā karte
rah-e-KHuda se na KHud ko kabhi juda karte
KHuda jo chahta hum bhi KHuda KHuda karte
tumhein bhi lafz-e-wafa hashr tak dua deta
jo tum bhi ai bani-adam kabhi wafa karte
lihaz-e-ishq na hota to ai mere hamdam
tamam umr tere haq mein baddua karte
purani baat ko chheDa hai kyon sar-e-mahfil
zaman-e-nau ke the gar tum to kuchh naya karte
ai mere yar KHata teri gar nahin hoti
to tere ashk bhala tujh se kyon gila karte
qubul hoti duaen agar meri 'suhail'
to hum bhi subh se ta-sham bas dua karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.