rah-e-manzil-e-qafila muntazir hai
rah-e-manzil-e-qāfila muntazir hai
safar ke liye rāsta muntazir hai
hai nazdīk manzil to qadmoñ se mere
lipaTne ko har aabla muntazir hai
tum aa kar sañvāro ye vīrān gulshan
tumhārī hī ḳhātir sabā muntazir hai
badan kī shuāoñ meñ aisī hai ḳhushbū
ki har gul tire rabt kā muntazir hai
kabhī mujh se milne tū sāhil pe aa jā
samundar tirī diid kā muntazir hai
nasīboñ se miltā hai resham kā phandā
sazā ke liye ik ḳhatā muntazir hai
kaho āñdhiyoñ se ki aa kar bujhā.eñ
fanā ke liye ḳhud diyā muntazir hai
yuuñ ġham mere dāman se lipTe hue haiñ
gayā ek to dūsrā muntazir hai
sar-e-ā.ina maiñ khaḌā sochtā huuñ
koī to pas-e-ā.ina muntazir hai
faqat ik yahī baat kahnī hai ham ko
ki barsoñ se 'sant' aap kā muntazir hai
rah-e-manzil-e-qafila muntazir hai
safar ke liye rasta muntazir hai
hai nazdik manzil to qadmon se mere
lipaTne ko har aabla muntazir hai
tum aa kar sanwaro ye viran gulshan
tumhaari hi KHatir saba muntazir hai
badan ki shuaon mein aisi hai KHushbu
ki har gul tere rabt ka muntazir hai
kabhi mujh se milne tu sahil pe aa ja
samundar teri did ka muntazir hai
nasibon se milta hai resham ka phanda
saza ke liye ek KHata muntazir hai
kaho aandhiyon se ki aa kar bujhaen
fana ke liye KHud diya muntazir hai
yun gham mere daman se lipTe hue hain
gaya ek to dusra muntazir hai
sar-e-aina main khaDa sochta hun
koi to pas-e-aina muntazir hai
faqat ek yahi baat kahni hai hum ko
ki barson se 'sant' aap ka muntazir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.