rah-e-safar mein rahe aur hayat se guzre
rah-e-safar meñ rahe aur hayāt se guzre
ki ek rañg meñ kitne jihāt se guzre
baḌe sukūn se ham ehtiyāt se guzre
qadam jamā ke chale kā.enāt se guzre
hai koī azm-e-javāñ aur na kuchh junūñ-ḳhezī
be-dast-o-pā hī rahe mumkināt se guzre
yaqīn dil meñ rahā terī dilrubā.ī kā
so jaag jaag ke ham saarī raat se guzre
koī natīja kahāñ baat kā nikal paayā
ki ek baat hī kyā baat baat se guzre
taġhayyurāt kī duniyā meñ ham rahe har dam
ki sote jāgte ham bhī hayāt se guzre
kabhī na ḳhud ko kiyā vaqf-e-inhimāk-e-vajūd
'obaid' bach ke rahe hādsāt se guzre
rah-e-safar mein rahe aur hayat se guzre
ki ek rang mein kitne jihat se guzre
baDe sukun se hum ehtiyat se guzre
qadam jama ke chale kaenat se guzre
hai koi azm-e-jawan aur na kuchh junun-KHezi
be-dast-o-pa hi rahe mumkinat se guzre
yaqin dil mein raha teri dilrubai ka
so jag jag ke hum sari raat se guzre
koi natija kahan baat ka nikal paya
ki ek baat hi kya baat baat se guzre
taghayyuraat ki duniya mein hum rahe har dam
ki sote jagte hum bhi hayat se guzre
kabhi na KHud ko kiya waqf-e-inhimak-e-wajud
'obaid' bach ke rahe hadsat se guzre
- Book : سخن دریا (Pg. 99)
- Author : عبید الرحمن
- Publication : عرشیہ پبلی کیشن
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.