rah-e-talab mein hazaron hi raste nape
rah-e-talab meñ hazāroñ hī rāste naape
zamīñ se tā-ba-falak kitne fāsle naape
ḳhirad ne haath uThā.e junūñ se kaam liyā
maqām-e-jazb ke phir ham ne silsile naape
mushāhidāt ke duniyā se do qadam aage
ba-faiz-e-'ishq hazāroñ hī falsafe naape
talāsh-e-ramz-e-haqīqat meñ ham ne ye bhī kiyā
ki māh-o-anjum-o-aḳhtar ke dā.ere naape
kisī kī aah jo zanjīr-e-'arsh se lipTī
to phir zamīñ ne bhī kyā kyā na zalzale naape
vo bad-nasīb hai shahr-e-habīb meñ aa kar
jo apne paañv ko dekhe aur aable naape
ḳhudā to ek hai phir ye 'ajab ḳhudā-e-suḳhan
ki jis ne apnī hī mānind qāfiye naape
hamārī ḳhvāhisheñ do gaz zamīñ pe aa Thahrīñ
ki ham ne paañv se shāhoñ ke maqbare naape
rah-e-talab mein hazaron hi raste nape
zamin se ta-ba-falak kitne fasle nape
KHirad ne hath uThae junun se kaam liya
maqam-e-jazb ke phir hum ne silsile nape
mushahidat ke duniya se do qadam aage
ba-faiz-e-'ishq hazaron hi falsafe nape
talash-e-ramz-e-haqiqat mein hum ne ye bhi kiya
ki mah-o-anjum-o-aKHtar ke daere nape
kisi ki aah jo zanjir-e-'arsh se lipTi
to phir zamin ne bhi kya kya na zalzale nape
wo bad-nasib hai shahr-e-habib mein aa kar
jo apne panw ko dekhe aur aable nape
KHuda to ek hai phir ye 'ajab KHuda-e-suKHan
ki jis ne apni hi manind qafiye nape
hamari KHwahishen do gaz zamin pe aa Thahrin
ki hum ne panw se shahon ke maqbare nape
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.