rah-e-talab mein nasheb-o-faraaz kitne the
rah-e-talab meñ nasheb-o-farāz kitne the
musāfirat meñ musāfir-navāz kitne the
qadam-qadam pe dukāneñ thiiñ sang-zādoñ kī
tumhāre shahr meñ ā.īna-sāz kitne the
ayaañ hue haiñ jo ab tak unheñ shumār na kar
jo gum hue the fazāoñ meñ raaz kitne the
ye aur baat ki chaupāl meñ the log bahut
sadāqatoñ ke amīn-o-majāz kitne the
qasīda-ḳhvāñ to zamāna thā fasl-e-bārāñ kā
ki pyās-rut meñ samundar-tarāz kitne the
qadam-qadam pe mile haiñ alaav nafrat ke
na pochhiye ki mohabbat-navāz kitne the
dukhoñ kī aañch se vo bhī pighal ga.e 'sāġhar'
jo dekhne meñ the patthar gudāz kitne the
rah-e-talab mein nasheb-o-faraaz kitne the
musafirat mein musafir-nawaz kitne the
qadam-qadam pe dukanen thin sang-zadon ki
tumhaare shahr mein aaina-saz kitne the
ayan hue hain jo ab tak unhen shumar na kar
jo gum hue the fazaon mein raaz kitne the
ye aur baat ki chaupal mein the log bahut
sadaqaton ke amin-o-majaz kitne the
qasida-KHwan to zamana tha fasl-e-baran ka
ki pyas-rut mein samundar-taraaz kitne the
qadam-qadam pe mile hain alaw nafrat ke
na pochhiye ki mohabbat-nawaz kitne the
dukhon ki aanch se wo bhi pighal gae 'saghar'
jo dekhne mein the patthar gudaz kitne the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.