rah-e-wafa mein ba-sad-shauq jab bhi hum nikle
rah-e-wafa mein ba-sad-shauq jab bhi hum nikle
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
rah-e-vafā meñ ba-sad-shauq jab bhī ham nikle
qadam qadam pe sabhī mā.il-e-sitam nikle
nahīñ ye gesū-e-jānāñ ye zulf-e-gītī hai
har ek biich meñ pinhāñ hazāroñ ḳham nikle
anā-pasandī-e-fitrat ko ab qarār kahāñ
bahisht chhoḌ ke mushkil safar pe ham nikle
milī na manzil-e-jānāñ rakhe na pā-e-talab
qadam qadam pe muqaddar ke pech-o-ḳham nikle
junūn-e-shauq meñ jin ko samajh rahā thā ḳhudā
paḌā jo vaqt to miTTī ke vo sanam nikle
tamām umr chale saath phir bhī saath the kab
'majīd' ḳhuub tumhāre ye ham-qadam nikle
rah-e-wafa mein ba-sad-shauq jab bhi hum nikle
qadam qadam pe sabhi mail-e-sitam nikle
nahin ye gesu-e-jaanan ye zulf-e-giti hai
har ek bich mein pinhan hazaron KHam nikle
ana-pasandi-e-fitrat ko ab qarar kahan
bahisht chhoD ke mushkil safar pe hum nikle
mili na manzil-e-jaanan rakhe na pa-e-talab
qadam qadam pe muqaddar ke pech-o-KHam nikle
junun-e-shauq mein jin ko samajh raha tha KHuda
paDa jo waqt to miTTi ke wo sanam nikle
tamam umr chale sath phir bhi sath the kab
'majid' KHub tumhaare ye ham-qadam nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.