rah gae bas ishq-dariya se ye nate rah gae
rah gae bas ishq-dariya se ye nate rah gae
Anjuman Mansury Arzoo
MORE BYAnjuman Mansury Arzoo
rah ga.e bas ishq-dariyā se ye naate rah ga.e
ham sadaf-āñkhoñ se ab gauhar luTāte rah ga.e
rah ga.e ham sāz-e-dil ke TuuT jaane par bhī ḳhush
dard ġhazloñ meñ chhupā kar gungunāte rah ga.e
rah ga.e ham pyaar ke har ism se de kar sadā
ruuTh kar vo chal diye aur ham manāte rah ga.e
rah ga.e ḳhāmosh vo bhī ishq ke iz.hār par
mere lab par bhī ishāre aate aate rah ga.e
rah ga.e saare fasānoñ meñ nishāñ un ke hī aur
rāz-e-dil ham is zamāne se chhupāte rah ga.e
rah ga.e yuuñ to añdhere hijr ke dil meñ magar
vasl kī ik sham.a ham phir bhī jalāte rah ga.e
rah ga.e ham 'ārzū' dil kī dabā kar dil meñ hī
naqsh-e-pā un kī tamanna ke miTāte rah ga.e
rah gae bas ishq-dariya se ye nate rah gae
hum sadaf-ankhon se ab gauhar luTate rah gae
rah gae hum saz-e-dil ke TuT jaane par bhi KHush
dard ghazlon mein chhupa kar gungunate rah gae
rah gae hum pyar ke har ism se de kar sada
ruTh kar wo chal diye aur hum manate rah gae
rah gae KHamosh wo bhi ishq ke izhaar par
mere lab par bhi ishaare aate aate rah gae
rah gae sare fasanon mein nishan un ke hi aur
raaz-e-dil hum is zamane se chhupate rah gae
rah gae yun to andhere hijr ke dil mein magar
wasl ki ek shama hum phir bhi jalate rah gae
rah gae hum 'arzu' dil ki daba kar dil mein hi
naqsh-e-pa un ki tamanna ke miTate rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.