rah gai aabru-e-ishq tere harim-e-naz mein
rah ga.ī ābrū-e-ishq tere harīm-e-nāz meñ
Dhal gayā soz-e-zindagī mere shikasta-sāz meñ
bālīñ pe merī aa ga.e miT ga.iiñ tīra-baḳhtiyāñ
gesū darāz kar diye tūl-e-shab-e-darāz meñ
ai dil-e-muztarib sañbhal itnā na be-qarār ho
uqda-kushā.ī hai tirī qabza-e-kārsāz meñ
husn kī jalva-gāh meñ ishq to be-niyāz thā
fitne hazār kyoñ uThe dīda-e-nīm-bāz meñ
rah gai aabru-e-ishq tere harim-e-naz mein
Dhal gaya soz-e-zindagi mere shikasta-saz mein
baalin pe meri aa gae miT gain tira-baKHtiyan
gesu daraaz kar diye tul-e-shab-e-daraaz mein
ai dil-e-muztarib sanbhal itna na be-qarar ho
uqda-kushai hai teri qabza-e-karsaz mein
husn ki jalwa-gah mein ishq to be-niyaz tha
fitne hazar kyon uThe dida-e-nim-baz mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.