rah gai hai dil ki dil mein baat afraatafri mein
rah ga.ī hai dil kī dil meñ baat afrātafrī meñ
par lagā kar uḌ ga.e lamhāt afrātafrī meñ
us kī āñkhoñ meñ na jaane kaisā nirmal jaadū thā
kitnī resham ho ga.ī hai zaat afrātafrī meñ
mere chehre par sajā dī khulte rañgoñ kī dhanak
chāhatoñ kī sauñp kar sauġhāt afrātafrī meñ
vo gulāboñ jaisā lahja bāteñ gajroñ se ladī
bas mahakte hī rahe jazbāt afrātafrī meñ
dhaḌkanoñ kī lai pe gintī huuñ unheñ ab baiTh kar
kar gayā hai jo vo ehsānāt afrātafrī meñ
dil kī banjar aur chatiyal sī zamīñ jal-thal huī
TuuT kar barsī thī yuuñ barsāt afrātafrī meñ
vaqt ne lā kar sajā dī kaisī palkoñ par 'suman'
jhilmilāte tāroñ kī bārāt afrātafrī meñ
rah gai hai dil ki dil mein baat afraatafri mein
par laga kar uD gae lamhat afraatafri mein
us ki aankhon mein na jaane kaisa nirmal jadu tha
kitni resham ho gai hai zat afraatafri mein
mere chehre par saja di khulte rangon ki dhanak
chahaton ki saunp kar saughat afraatafri mein
wo gulabon jaisa lahja baaten gajron se ladi
bas mahakte hi rahe jazbaat afraatafri mein
dhaDkanon ki lai pe ginti hun unhen ab baiTh kar
kar gaya hai jo wo ehsanat afraatafri mein
dil ki banjar aur chatiyal si zamin jal-thal hui
TuT kar barsi thi yun barsat afraatafri mein
waqt ne la kar saja di kaisi palkon par 'suman'
jhilmilate taron ki baraat afraatafri mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.