rah gaya insan akela bastiyon ke darmiyan
Interesting Fact
July 1971
rah gayā insāñ akelā bastiyoñ ke darmiyāñ
gum huā sūraj ḳhud apnī tābishoñ ke darmiyāñ
haath lagte hī bikhar jaate haiñ rañgoñ kī tarah
phuul se paikar samay kī āñdhiyoñ ke darmiyāñ
ruuh kī andhī galī meñ chīḳhtā hai rāt-din
jism kā zaḳhmī parinda ḳhvāhishoñ ke darmiyāñ
ban gayā zanjīr mere paañv kī merā vajūd
qaid hai dariyā bhī apne sāhiloñ ke darmiyāñ
ḳhushk miTTī meñ milī hai phir na.e mausam kī baas
phir shajar nikhre baraste pāniyoñ ke darmiyāñ
har taraf manzil nazar aa.e to phir jā.ūñ kahāñ
soch kā patthar banā huuñ rāstoñ ke darmiyāñ
naqsh hai āñkhoñ meñ apnī mausam-e-gul kā samāñ
aa.ine shabnam ke rakkhe haiñ guloñ ke darmiyāñ
yuuñ safar kī gard meñ lipTā huā paayā 'nadīm'
jis tarah aayā ho sūraj bādaloñ ke darmiyāñ
rah gaya insan akela bastiyon ke darmiyan
gum hua suraj KHud apni tabishon ke darmiyan
hath lagte hi bikhar jate hain rangon ki tarah
phul se paikar samay ki aandhiyon ke darmiyan
ruh ki andhi gali mein chiKHta hai raat-din
jism ka zaKHmi parinda KHwahishon ke darmiyan
ban gaya zanjir mere panw ki mera wajud
qaid hai dariya bhi apne sahilon ke darmiyan
KHushk miTTi mein mili hai phir nae mausam ki bas
phir shajar nikhre baraste paniyon ke darmiyan
har taraf manzil nazar aae to phir jaun kahan
soch ka patthar bana hun raston ke darmiyan
naqsh hai aankhon mein apni mausam-e-gul ka saman
aaine shabnam ke rakkhe hain gulon ke darmiyan
yun safar ki gard mein lipTa hua paya 'nadim'
jis tarah aaya ho suraj baadalon ke darmiyan
- Book : Shola-e-Khushboo (Pg. 111)
- Author : Salahuddin Nadeem
- Publication : Raheel Salahuddin (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.