rah gaya par wo tere chaak garebanon ka
rah gayā par vo tire chaak garebānoñ kā
hashr meñ koī bhī pursāñ nahīñ dīvānoñ kā
raah chalte huī hai daulat-e-dīdār nasīb
is meñ ehsān nahīñ aap ke darbānoñ kā
yaad aatī haiñ junūñ-ḳhez havā.eñ un kī
ab na vo ham haiñ na aalam vo bayābānoñ kā
are dīvāne zarā chal ke unheñ dekh to le
mai-kadoñ meñ hai mazā shaiḳh parī-ḳhānoñ kā
but ḳhudā huuñ ki na huuñ hai magar itnī tauqīr
but-kada aaj bhī ka.aba hai musalmānoñ kā
chashm-e-sāqī kī tarah hai asar-andāz ai shaiḳh
ba.ad tauba ke chhalaknā bhare paimānoñ kā
chuTkiyāñ aap na leñ mehñdī lage hāthoñ se
kaam deñge na ye nāḳhun kabhī paikānoñ kā
qaht jaa.e bhī magar ye nahīñ jaane ke 'riyāz'
ki mire ghar hai ijāra mire mehmānoñ kā
rah gaya par wo tere chaak garebanon ka
hashr mein koi bhi pursan nahin diwanon ka
rah chalte hui hai daulat-e-didar nasib
is mein ehsan nahin aap ke darbanon ka
yaad aati hain junun-KHez hawaen un ki
ab na wo hum hain na aalam wo bayabanon ka
are diwane zara chal ke unhen dekh to le
mai-kadon mein hai maza shaiKH pari-KHanon ka
but KHuda hun ki na hun hai magar itni tauqir
but-kada aaj bhi kaba hai musalmanon ka
chashm-e-saqi ki tarah hai asar-andaz ai shaiKH
baad tauba ke chhalakna bhare paimanon ka
chuTkiyan aap na len mehndi lage hathon se
kaam denge na ye naKHun kabhi paikanon ka
qaht jae bhi magar ye nahin jaane ke 'riyaz'
ki mere ghar hai ijara mere mehmanon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.