rah hi nahin saka main kabhi chaak se alag
rah hī nahīñ sakā maiñ kabhī chaak se alag
hotī nahīñ hai ḳhaak kabhī ḳhaak se alag
har-gām varġhalāyā hai us ne hayāt ko
bachtā phirā huuñ fitna-e-idrāk se alag
kuchh āñsuoñ ko kūza-e-dil meñ sameT kar
rakkhā hai maiñ ne dīda-e-namnāk se alag
hālāñki apnī vus.at-e-parvāz ke ḳhilāf
uḌtā rahā huuñ maiñ had-e-aflāk se alag
ye bhī hunar 'ajīb hai terā ai ḳhush-libās
ḳhushbū ko tū ne rakkhā hai poshāk se alag
'shākir-husain' apnā bhī anjām thā vahī
ham ho nahīñ sake ḳhas-o-ḳhāshāk se alag
rah hi nahin saka main kabhi chaak se alag
hoti nahin hai KHak kabhi KHak se alag
har-gam warghalaya hai us ne hayat ko
bachta phira hun fitna-e-idrak se alag
kuchh aansuon ko kuza-e-dil mein sameT kar
rakkha hai main ne dida-e-namnak se alag
haalanki apni wusat-e-parwaz ke KHilaf
uDta raha hun main had-e-aflak se alag
ye bhi hunar 'ajib hai tera ai KHush-libas
KHushbu ko tu ne rakkha hai poshak se alag
'shakir-husain' apna bhi anjam tha wahi
hum ho nahin sake KHas-o-KHashak se alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.