rah ke gulshan mein bhi tarse hain gul-e-tar ke liye
rah ke gulshan mein bhi tarse hain gul-e-tar ke liye
Rajesh Kumar Auj
MORE BYRajesh Kumar Auj
rah ke gulshan meñ bhī tarse haiñ gul-e-tar ke liye
ye muqaddar thā to kyā ro.eñ muqaddar ke liye
dīn-o-duniyā kā bhalā hosh rahegā kis ko
aap pahlū meñ to aa.eñ mire pal bhar ke liye
sirf ik dard-e-mohabbat hī kā ronā to nahīñ
log phirte haiñ pareshān mire sar ke liye
zaat se un kī hai vābasta mirā dil aise
jaise dīvār zarūrī hai kisī dar ke liye
dāġh-e-dil aisā jalā hijr kī rātoñ meñ na pūchh
sham.a is taur na jal pā.egī dam bhar ke liye
tū na aa.e tirā paiġhām hī aa.e to sahī
kuchh to sāmān-e-sukūñ ho dil-e-muztar ke liye
husn zevar kā bhalā 'auj' kahāñ hai muhtāj
ġhāza lāzim to nahīñ hai ruḳh-e-anvar ke liye
rah ke gulshan mein bhi tarse hain gul-e-tar ke liye
ye muqaddar tha to kya roen muqaddar ke liye
din-o-duniya ka bhala hosh rahega kis ko
aap pahlu mein to aaen mere pal bhar ke liye
sirf ek dard-e-mohabbat hi ka rona to nahin
log phirte hain pareshan mere sar ke liye
zat se un ki hai wabasta mera dil aise
jaise diwar zaruri hai kisi dar ke liye
dagh-e-dil aisa jala hijr ki raaton mein na puchh
shama is taur na jal paegi dam bhar ke liye
tu na aae tera paigham hi aae to sahi
kuchh to saman-e-sukun ho dil-e-muztar ke liye
husn zewar ka bhala 'auj' kahan hai muhtaj
ghaza lazim to nahin hai ruKH-e-anwar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.