rah ke KHamosh bhi elan bahut karta hai
rah ke ḳhāmosh bhī elaan bahut kartā hai
aa.ina chehroñ kā nuqsān bahut kartā hai
aao sahrā meñ ye dīvāne se chal kar pūchheñ
phuul kyuuñ chaak garebān bahut kartā hai
raushnī likh nahīñ saktā kisī qismat meñ charāġh
raat aatī hai to ehsān bahut kartā hai
aao ab aql kī mīzān pe toleñ us ko
vo vafādārī kā elaan bahut kartā hai
ye nayā daur jo ehsān to kartā hī nahīñ
aur sharminda-e-ehsān bahut kartā hai
suunī rah jaa.eñ jo shāḳheñ to gilā bhī na kare
vo parindoñ ko pareshān bahut kartā hai
aaj 'saulat' kī ye pahchān bahut kaafī hai
dil-o-jāñ aap pe qurbān bahut kartā hai
rah ke KHamosh bhi elan bahut karta hai
aaina chehron ka nuqsan bahut karta hai
aao sahra mein ye diwane se chal kar puchhen
phul kyun chaak gareban bahut karta hai
raushni likh nahin sakta kisi qismat mein charagh
raat aati hai to ehsan bahut karta hai
aao ab aql ki mizan pe tolen us ko
wo wafadari ka elan bahut karta hai
ye naya daur jo ehsan to karta hi nahin
aur sharminda-e-ehsan bahut karta hai
suni rah jaen jo shaKHen to gila bhi na kare
wo parindon ko pareshan bahut karta hai
aaj 'saulat' ki ye pahchan bahut kafi hai
dil-o-jaan aap pe qurban bahut karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.