rah ke tufan-o-hawadis mein hi mil jaunga
rah ke tūfān-o-havādis meñ hī mil jā.ūñgā
vaqt ke saath chalūñgā to badal jā.ūñgā
qasr-e-sultānī mubārak ho ye ai zaaġh tujhe
maiñ to shāhīñ huuñ pahāḌoñ meñ bhī pal jā.ūñgā
bandagī kā tirī ab mujh ko qarīna aaya
ab zamāne kī ġhulāmī se nikal jā.ūñgā
tum ne jo soz kī sauġhāt mujhe baḳhshī hai
rafta rafta maiñ isī soz meñ jal jā.ūñgā
tīrgī jab bhī gulistāñ meñ baḌhegī hamdam
ban ke qindīl sar-e-shām maiñ jal jā.ūñgā
rah ke tufan-o-hawadis mein hi mil jaunga
waqt ke sath chalunga to badal jaunga
qasr-e-sultani mubarak ho ye ai zagh tujhe
main to shahin hun pahaDon mein bhi pal jaunga
bandagi ka teri ab mujh ko qarina aaya
ab zamane ki ghulami se nikal jaunga
tum ne jo soz ki saughat mujhe baKHshi hai
rafta rafta main isi soz mein jal jaunga
tirgi jab bhi gulistan mein baDhegi hamdam
ban ke qindil sar-e-sham main jal jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.