Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-nawardi ka payambar tha magar achchha laga

Sharafat Ali Jogi

rah-nawardi ka payambar tha magar achchha laga

Sharafat Ali Jogi

MORE BYSharafat Ali Jogi

    rah-navardī payambar thā magar achchhā lagā

    vo hazar vo lamhe bhar ham-safar achchhā lagā

    mīr-o-ġhālib jis galī the barmalā rusvā hue

    us galī chup-chāp apnā guzar achchhā lagā

    munfarid haiñ zāviye har shā'irī ke dekhiye

    sab ko apnī shā'irī ye hunar achchhā lagā

    rang the kuchh aur bhī lahore ke sab yaad haiñ

    par purāne shahr būḌhā shajar achchhā lagā

    us jahāñ meñ ulfatoñ dhuum hogī chār-sū

    barmalā ham kah sakeñge ye bashar achchhā lagā

    aur bhī achchhe-bhale haiñ bazm meñ 'jogī' magar

    terā mujh ko baiThne aanā idhar achchhā lagā

    raaz mujh ko bhī nahīñ mā'lūm re jogan batā

    tujh ko itnā kyoñ ye 'jogī' dar-ba-dar achchhā lagā

    rah-nawardi ka payambar tha magar achchha laga

    wo hazar wo lamhe bhar ka ham-safar achchha laga

    mir-o-ghaalib jis gali the barmala ruswa hue

    us gali chup-chap sa apna guzar achchha laga

    munfarid hain zawiye har sha'iri ke dekhiye

    sab ko apni sha'iri ka ye hunar achchha laga

    rang the kuchh aur bhi lahore ke sab yaad hain

    par purane shahr ka buDha shajar achchha laga

    us jahan mein ulfaton ki dhum hogi chaar-su

    barmala hum kah sakenge ye bashar achchha laga

    aur bhi achchhe-bhale hain bazm mein 'jogi' magar

    tera mujh ko baiThne aana idhar achchha laga

    raaz mujh ko bhi nahin ma'lum re jogan bata

    tujh ko itna kyon ye 'jogi' dar-ba-dar achchha laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now