raha jab na imkan zabt-e-fughan ka
rahā jab na imkān zabt-e-fuġhāñ kā
kiyā qasd bedard ne imtihāñ kā
gulistāñ meñ hai daur fasl-e-ḳhizāñ kā
ajab rang hai gardish-e-āsmāñ kā
huā sāmnā āfat-e-nā-gahāñ kā
patā chal gayā barq ko āshiyāñ kā
kaTā hashr kā din gila karte karte
huā ḳhatm qissa na jaur-e-butāñ kā
uThā.eñ kahāñ tak asīr-e-mohabbat
jafā.eñ tumhārī sitam āsmāñ kā
yaqīñ hai ki ahl-e-zamīñ marte marte
na bhūleñge hargiz sitam āsmāñ kā
lagāte haiñ āñkhoñ se ahl-e-basārat
samajhte haiñ rutba tire āstāñ kā
rahe kaan mushtāq bāñg-e-jaras ke
na paayā nishāñ aaj tak kārvāñ kā
khaTakte haiñ āñkhoñ meñ kyoñ chaar tinke
tajassus hai sayyād kyoñ āshiyāñ kā
tire tīra-baḳhtoñ kī aahoñ se zālim
uḌegā dhuāñ ban ke rang āsmāñ kā
sharīk-e-ġham-e-jāñkanī kaun hogā
sahārā faqat hai dil-e-nā-tavāñ kā
qafas kī hifāzat se sayyād hāsil
nikaltā hai dam tā.ir-e-nīm-jāñ kā
pashemāñ gunāhoñ se haiñ all-e-isyāñ
bapā shor mahshar meñ hai al-amāñ kā
baqā dār-e-duniyā ko 'mas.ūd' kai din
yahāñ ḳhaak tālib huuñ nām-o-nishāñ kā
raha jab na imkan zabt-e-fughan ka
kiya qasd bedard ne imtihan ka
gulistan mein hai daur fasl-e-KHizan ka
ajab rang hai gardish-e-asman ka
hua samna aafat-e-na-gahan ka
pata chal gaya barq ko aashiyan ka
kaTa hashr ka din gila karte karte
hua KHatm qissa na jaur-e-butan ka
uThaen kahan tak asir-e-mohabbat
jafaen tumhaari sitam aasman ka
yaqin hai ki ahl-e-zamin marte marte
na bhulenge hargiz sitam aasman ka
lagate hain aankhon se ahl-e-basarat
samajhte hain rutba tere aastan ka
rahe kan mushtaq bang-e-jaras ke
na paya nishan aaj tak karwan ka
khaTakte hain aankhon mein kyon chaar tinke
tajassus hai sayyaad kyon aashiyan ka
tere tira-baKHton ki aahon se zalim
uDega dhuan ban ke rang aasman ka
sharik-e-gham-e-jaankani kaun hoga
sahaara faqat hai dil-e-na-tawan ka
qafas ki hifazat se sayyaad hasil
nikalta hai dam tair-e-nim-jaan ka
pasheman gunahon se hain all-e-isyan
bapa shor mahshar mein hai al-aman ka
baqa dar-e-duniya ko 'masud' kai din
yahan KHak talib hun nam-o-nishan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.