raha karta hai ai dil samna har-dam musibat ka
raha karta hai ai dil samna har-dam musibat ka
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
rahā kartā hai ai dil sāmnā har-dam musībat kā
hazār aafat kī ik aafat hai aa jaanā tabī.at kā
yahī rasm-e-vafā hai aur yahī hāsil mohabbat kā
ki ai dil shukr kiije gar mahal bhī ho shikāyat kā
vo ik tum ho tumhāre muñh meñ jo aatā hai kahte ho
vo ik ham haiñ ki ham ko Dhab nahīñ aatā shikāyat kā
kisī din maut se dast-o-garebāñ karne vaalā hai
mire siine meñ ye rah rah ke uThnā dard-e-furqat kā
nigāheñ phir rahī haiñ ik jahāñ kī bal hai abrū par
sar-e-mahfil chhiḌā ye zikr kis bargashta-qismat kā
tire uThte hī ā.īne kī duniyā ho ga.ī vīrāñ
abhī thā jalva-gar is meñ hasīñ ik terī sūrat kā
sidhāre vo hamāre dafn kā sāmān hotā hai
ajal ke aate hī vaqt aa gayā donoñ kī ruḳhsat kā
kisī kamsin kā ye 'mas.ūd' se dil toḌ kar kahnā
khilaunā dūsrā laao koī is shakl-o-sūrat kā
raha karta hai ai dil samna har-dam musibat ka
hazar aafat ki ek aafat hai aa jaana tabiat ka
yahi rasm-e-wafa hai aur yahi hasil mohabbat ka
ki ai dil shukr kije gar mahal bhi ho shikayat ka
wo ek tum ho tumhaare munh mein jo aata hai kahte ho
wo ek hum hain ki hum ko Dhab nahin aata shikayat ka
kisi din maut se dast-o-gareban karne wala hai
mere sine mein ye rah rah ke uThna dard-e-furqat ka
nigahen phir rahi hain ek jahan ki bal hai abru par
sar-e-mahfil chhiDa ye zikr kis bargashta-qismat ka
tere uThte hi aaine ki duniya ho gai viran
abhi tha jalwa-gar is mein hasin ek teri surat ka
sidhaare wo hamare dafn ka saman hota hai
ajal ke aate hi waqt aa gaya donon ki ruKHsat ka
kisi kamsin ka ye 'masud' se dil toD kar kahna
khilauna dusra lao koi is shakl-o-surat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.