raha muztarib na dil-e-hazin ki wo shab gai wo sahar gai
rahā muztarib na dil-e-hazīñ ki vo shab ga.ī vo sahar ga.ī
nahīñ ab talāsh-e-sukūñ mujhe jo guzar rahī thī guzar ga.ī
na khaTak huī ki vo shab Dhalī na ḳhabar huī ki sahar ga.ī
vo mile kabhī to kuchh is tarah ki hayāt jaise guzar ga.ī
tirī yaad dil se na jā sakī rahī vo sharīk-e-ġham-o-ḳhushī
kabhī phuul ban ke mahak uThī kabhī ḳhaar ban ke utar ga.ī
na mirī hayāt ke din the vo na mirī hayāt kī raat thī
jo tire baġhair basar hue jo tire baġhair guzar ga.ī
vahī phuul sahn-e-hayāt se mirī zindagī ne uThā liyā
na jise kisī kī talab huī na jidhar kisī kī nazar ga.ī
mirī zindagī to tabāh thī tire ġham se pahle bhī ham-nashīñ
mirī zindagī kā savāl kyā tirī zindagī to sañvar ga.ī
thā hasīn rang fazāoñ meñ ki tumhārī zulf kī chhāñv meñ
vo hasīn shaam thī kis qadar jo tumhāre saath guzar ga.ī
hai 'ayāz' aaj bhī nauhagar usī be-vafā ke liye magar
koī kah de us se ki be-ḳhabar vo adā ga.ī vo nazar ga.ī
raha muztarib na dil-e-hazin ki wo shab gai wo sahar gai
nahin ab talash-e-sukun mujhe jo guzar rahi thi guzar gai
na khaTak hui ki wo shab Dhali na KHabar hui ki sahar gai
wo mile kabhi to kuchh is tarah ki hayat jaise guzar gai
teri yaad dil se na ja saki rahi wo sharik-e-gham-o-KHushi
kabhi phul ban ke mahak uThi kabhi KHar ban ke utar gai
na meri hayat ke din the wo na meri hayat ki raat thi
jo tere baghair basar hue jo tere baghair guzar gai
wahi phul sahn-e-hayat se meri zindagi ne uTha liya
na jise kisi ki talab hui na jidhar kisi ki nazar gai
meri zindagi to tabah thi tere gham se pahle bhi ham-nashin
meri zindagi ka sawal kya teri zindagi to sanwar gai
tha hasin rang fazaon mein ki tumhaari zulf ki chhanw mein
wo hasin sham thi kis qadar jo tumhaare sath guzar gai
hai 'ayaz' aaj bhi nauhagar usi be-wafa ke liye magar
koi kah de us se ki be-KHabar wo ada gai wo nazar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.