raha na jine ka dil mein jo hausla baqi
rahā na jiine kā dil meñ jo hausla baaqī
to zinda rahne meñ kyā rah gayā maza baaqī
vo chhīn le ga.e saarī matā.a-e-azm-o-amal
hamāre hisse meñ bas rah ga.ī duā baaqī
ye ham-safar mire kin rāstoñ pe chal nikle
rafāqatoñ ke nahīñ jin pe naqsh-e-pā baaqī
hazār dāman-e-dil ko chhuḌā rahā huuñ magar
vahī hai aaj bhī yādoñ kā silsila baaqī
kuchh aisā shahr pe chhāyā kudūratoñ kā ġhubār
kahīñ bachā koī manzar na jāñ-fazā baaqī
ik izhdihām hai chehroñ kā gird-o-pesh magar
na ham-zabāñ koī baaqī na dilrubā baaqī
bahut miTā.e ga.e zulm ke nuqūsh magar
lahū ke daaġh abhī tak haiñ jā-ba-jā baaqī
raha na jine ka dil mein jo hausla baqi
to zinda rahne mein kya rah gaya maza baqi
wo chhin le gae sari mataa-e-azm-o-amal
hamare hisse mein bas rah gai dua baqi
ye ham-safar mere kin raston pe chal nikle
rafaqaton ke nahin jin pe naqsh-e-pa baqi
hazar daman-e-dil ko chhuDa raha hun magar
wahi hai aaj bhi yaadon ka silsila baqi
kuchh aisa shahr pe chhaya kuduraton ka ghubar
kahin bacha koi manzar na jaan-faza baqi
ek izhdiham hai chehron ka gird-o-pesh magar
na ham-zaban koi baqi na dilruba baqi
bahut miTae gae zulm ke nuqush magar
lahu ke dagh abhi tak hain ja-ba-ja baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.