raha safar mein to aksar udas kar dega
rahā safar meñ to aksar udaas kar degā
use bhī shaam kā manzar udaas kar degā
mujhe yaqīñ hai ki ik roz lāziman tum ko
vo apne ahd se haT kar udaas kar degā
jo tere naam ke sadqe meñ mujh se māñgegā
galī meñ aisā gadāgar udaas kar degā
abhī to vaqt hai is ke na tum qarīb raho
tumheñ tumhārā suḳhanvar udaas kar degā
ik ajnabī pe jo tum e'timād karte ho
tumheñ kahīñ na kahīñ par udaas kar degā
mujhe pata hai ki mulhid hai shahr-e-hasrat se
chalā gayā to ye kāfir udaas kar degā
raha safar mein to aksar udas kar dega
use bhi sham ka manzar udas kar dega
mujhe yaqin hai ki ek roz laziman tum ko
wo apne ahd se haT kar udas kar dega
jo tere nam ke sadqe mein mujh se mangega
gali mein aisa gadagar udas kar dega
abhi to waqt hai is ke na tum qarib raho
tumhein tumhaara suKHanwar udas kar dega
ek ajnabi pe jo tum e'timad karte ho
tumhein kahin na kahin par udas kar dega
mujhe pata hai ki mulhid hai shahr-e-hasrat se
chala gaya to ye kafir udas kar dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.