rahbar bhi kare kya koi dawa mere aage
rahbar bhī kare kyā koī da.avā mire aage
ban jaatā hai jañgal meñ bhī rasta mire aage
maiñ tujh ko sameTūñ yahī koshish rahī har dam
itnā na bikhar ai mirī duniyā mire aage
terī hī tarah maiñ ne luTāyā hai sabhī kuchh
sharminda na kar haath na phailā mire aage
kal tak jo bharam thā vo bharam TuuT gayā hai
shaitān hai koī na farishta mire aage
parbat kī tarah vaqt ke siine meñ gaḌā huuñ
chaltā hī nahīñ zor havā kā mire aage
maiñ ne tujhe anjām se āgāh kiyā thā
achchhā nahīñ terā ye taḌapnā mire aage
sahrā kā musāfir huuñ maiñ ma.alūm hai tujh ko
kyoñ rakhtā hai tū shahr kā naqsha mire aage
bīmār na paḌ jā.ūñ maiñ is baat kā Dar hai
bantā hai har ik shaḳhs masīhā mire aage
duniyā kā ye da.avā hai ki sab saath haiñ mere
aa jaatī hai har baar hī tanhā mire aage
rahbar bhi kare kya koi dawa mere aage
ban jata hai jangal mein bhi rasta mere aage
main tujh ko sameTun yahi koshish rahi har dam
itna na bikhar ai meri duniya mere aage
teri hi tarah main ne luTaya hai sabhi kuchh
sharminda na kar hath na phaila mere aage
kal tak jo bharam tha wo bharam TuT gaya hai
shaitan hai koi na farishta mere aage
parbat ki tarah waqt ke sine mein gaDa hun
chalta hi nahin zor hawa ka mere aage
main ne tujhe anjam se aagah kiya tha
achchha nahin tera ye taDapna mere aage
sahra ka musafir hun main malum hai tujh ko
kyon rakhta hai tu shahr ka naqsha mere aage
bimar na paD jaun main is baat ka Dar hai
banta hai har ek shaKHs masiha mere aage
duniya ka ye dawa hai ki sab sath hain mere
aa jati hai har bar hi tanha mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.