rahbar-e-qaum samajh le ye haqiqat hai baDi
rahbar-e-qaum samajh le ye haqīqat hai baḌī
qaum chhoTī hai magar is kī rivāyat hai baḌī
chādar-o-qāmat-e-fārūq pe rakhte haiñ nazar
ehtisāb un kā kaḌā aur itā.at hai baḌī
rāhbar badlā to phir se safar āġhāz huā
dasht-e-gum-rāh meñ is taur masāfat hai baḌī
kyā idāre the jo TuuTe haiñ anā kī ḳhātir
un kī tafsīl na pūchho ye hikāyat hai baḌī
aaj bhī husn-e-bayāñ parda-e-āmāl banā
aaj ke daur meñ bhī harf kī tāqat hai baḌī
ahl-e-dil terī vafāoñ kī qasam khāte haiñ
bar-sar-e-kū-e-jafā bhī tirī shohrat hai baḌī
dard kī mauj ubhartī hai tire naam ke saath
dūriyāñ laakh sahī pyaar kī qurbat hai baḌī
rahbar-e-qaum samajh le ye haqiqat hai baDi
qaum chhoTi hai magar is ki riwayat hai baDi
chadar-o-qamat-e-faruq pe rakhte hain nazar
ehtisab un ka kaDa aur itaat hai baDi
rahbar badla to phir se safar aaghaz hua
dasht-e-gum-rah mein is taur masafat hai baDi
kya idare the jo TuTe hain ana ki KHatir
un ki tafsil na puchho ye hikayat hai baDi
aaj bhi husn-e-bayan parda-e-amal bana
aaj ke daur mein bhi harf ki taqat hai baDi
ahl-e-dil teri wafaon ki qasam khate hain
bar-sar-e-ku-e-jafa bhi teri shohrat hai baDi
dard ki mauj ubharti hai tere nam ke sath
duriyan lakh sahi pyar ki qurbat hai baDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.