rahbar hi na ban dost ka bhi farz nibha dost
rahbar hī na ban dost kā bhī farz nibhā dost
do-chār qadam saath bhī to chal ke dikhā dost
gar baañT sake baañT mirā dard vagarna
ġham-ḳhvār bhī banñe kī tū zahmat na uThā dost
do haath uThā kar duā karne ke bajā.e
behtar hai madad ke liye ik haath baḌhā dost
aage hai nikalnā to nikal shauq se aage
nāhaq kisī hamrāh ko nīche na girā dost
kab tak tū sunegā mire ash.ār purāne
tū zaḳhm nayā de to maiñ duuñ giit nayā dost
bāhar se hai patthar to hai andar se 'sadā' mom
bāhar se use dekh ke raa.e na banā dost
rahbar hi na ban dost ka bhi farz nibha dost
do-chaar qadam sath bhi to chal ke dikha dost
gar banT sake banT mera dard wagarna
gham-KHwar bhi banne ki tu zahmat na uTha dost
do hath uTha kar dua karne ke bajae
behtar hai madad ke liye ek hath baDha dost
aage hai nikalna to nikal shauq se aage
nahaq kisi hamrah ko niche na gira dost
kab tak tu sunega mere ashaar purane
tu zaKHm naya de to main dun git naya dost
bahar se hai patthar to hai andar se 'sada' mom
bahar se use dekh ke rae na bana dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.