rahe asir-e-qafas aashiyan na dekh sake
rahe asīr-e-qafas āshiyāñ na dekh sake
bharī bahār meñ ham gulsitāñ na dekh sake
bas ik jhalak hī ne behosh kar diyā ham ko
tire jamāl kī ra.anā.iyāñ na dekh sake
dil-o-jigar tap-e-furqat meñ jal rahe haiñ magar
kabhī nikaltā huā ham dhuāñ na dekh sake
hameñ to jab se ye zulmat-kada nasīb huā
kabhī ham apnī bhī parchhā.iyāñ na dekh sake
hazār tarah se tadbīr kī dil-e-nāshād
magar kabhī tujhe ham shādmāñ na dekh sake
rah-e-talab meñ rakhe paañv jab se ai 'fayyāz'
junūn-e-shauq meñ sūd-o-ziyāñ na dekh sake
rahe asir-e-qafas aashiyan na dekh sake
bhari bahaar mein hum gulsitan na dekh sake
bas ek jhalak hi ne behosh kar diya hum ko
tere jamal ki ranaiyan na dekh sake
dil-o-jigar tap-e-furqat mein jal rahe hain magar
kabhi nikalta hua hum dhuan na dekh sake
hamein to jab se ye zulmat-kada nasib hua
kabhi hum apni bhi parchhaiyan na dekh sake
hazar tarah se tadbir ki dil-e-nashad
magar kabhi tujhe hum shadman na dekh sake
rah-e-talab mein rakhe panw jab se ai 'fayyaz'
junun-e-shauq mein sud-o-ziyan na dekh sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.