rahega yaad tu jab tak hayat baqi hai
rahegā yaad tū jab tak hayāt baaqī hai
ki terī yādoñ kī ik kā.enāt baaqī hai
guzar rahā hai ye be-rang zindagī kā safar
na din hī baaqī rahā hai na raat baaqī hai
tumhārī yaad ke raushan charāġh har sū haiñ
shab-e-firāq se milnī najāt baaqī hai
abhī na bazm-e-suḳhan se uThā.iye mujh ko
kisī nazar kā abhī iltifāt baaqī hai
na kaam aa.ī hamāre jo karbalā meñ kabhī
balā se apnī jo mauj-e-furāt baaqī hai
tamām umr chale ishq kī Dagar 'muḳhtār'
magar safar meñ abhī pul-sirāt baaqī hai
rahega yaad tu jab tak hayat baqi hai
ki teri yaadon ki ek kaenat baqi hai
guzar raha hai ye be-rang zindagi ka safar
na din hi baqi raha hai na raat baqi hai
tumhaari yaad ke raushan charagh har su hain
shab-e-firaq se milni najat baqi hai
abhi na bazm-e-suKHan se uThaiye mujh ko
kisi nazar ka abhi iltifat baqi hai
na kaam aai hamare jo karbala mein kabhi
bala se apni jo mauj-e-furaat baqi hai
tamam umr chale ishq ki Dagar 'muKHtar'
magar safar mein abhi pul-siraat baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.