Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahegi shor-e-nawai hayat mein kab tak

Rishi Patialvi

rahegi shor-e-nawai hayat mein kab tak

Rishi Patialvi

MORE BYRishi Patialvi

    rahegī shor-e-navā.ī hayāt meñ kab tak

    anā zo'm-garī baat baat meñ kab tak

    nikal ke dekh hisār-e-had-e-ta.ayyun se

    yūñhī rahegā asiir apnī zaat meñ kab tak

    haqīqatan jo na kuchh bhī suneñ sunā.eñge

    uḌā.eñge vo hameñ baat baat meñ kab tak

    yaqīñ na aa.egā kab tak unheñ mohabbat

    rahegā rābta nā-mumkināt meñ kab tak

    dikhā.e jā.eñge manzar hameñ qayāmat ke

    ḳhayāl-o-ḳhvāb yūñhī raat raat meñ kab tak

    kahāñ hai kis ke liye hai ḳhushī barā-e-ḳhushī

    ġham-e-hayāt rahegā hayāt meñ kab tak

    sukūn-e-qalb pahlū 'rishī' bahar-pahlū

    nazar na aa.egā tasḳhīr-e-zāt meñ kab tak

    rahegi shor-e-nawai hayat mein kab tak

    ana ki zo'm-gari baat baat mein kab tak

    nikal ke dekh hisar-e-had-e-tayyun se

    yunhi rahega asir apni zat mein kab tak

    haqiqatan jo na kuchh bhi sunen sunaenge

    uDaenge wo hamein baat baat mein kab tak

    yaqin na aaega kab tak unhen mohabbat ka

    rahega rabta na-mumkinat mein kab tak

    dikhae jaenge manzar hamein qayamat ke

    KHayal-o-KHwab yunhi raat raat mein kab tak

    kahan hai kis ke liye hai KHushi bara-e-KHushi

    gham-e-hayat rahega hayat mein kab tak

    sukun-e-qalb ka pahlu 'rishi' bahar-pahlu

    nazar na aaega tasKHir-e-zat mein kab tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now