rahguzaron mein raushni ke liye
rahguzāroñ meñ raushnī ke liye
le ke nikle haiñ āñdhiyoñ meñ diye
zā.iqa talḳh hai mohabbat kā
aadmī zahr-e-ġham piye na piye
dil meñ yādoñ ke rat-jage jaise
TimTimāte huuñ marghaToñ ke diye
dil meñ tūfān haiñ chhupā.e hue
ham to baiThe haiñ apne hoñT siye
koī tujh sā nazar nahīñ aatā
dil ne sau rañg intiḳhāb kiye
dar-ba-dar shahr meñ phire yaaro
apne kāñdhe pe apnī laash liye
dil kī dil meñ raheñ tamannā.eñ
āñkhoñ āñkhoñ meñ kitne ashk piye
jaan pyārī hameñ bhī thī 'ayyūb'
apnī ḳhātir magar kabhī na jiye
rahguzaron mein raushni ke liye
le ke nikle hain aandhiyon mein diye
zaiqa talKH hai mohabbat ka
aadmi zahr-e-gham piye na piye
dil mein yaadon ke rat-jage jaise
TimTimate hun marghaTon ke diye
dil mein tufan hain chhupae hue
hum to baiThe hain apne honT siye
koi tujh sa nazar nahin aata
dil ne sau rang intiKHab kiye
dar-ba-dar shahr mein phire yaro
apne kandhe pe apni lash liye
dil ki dil mein rahen tamannaen
aankhon aankhon mein kitne ashk piye
jaan pyari hamein bhi thi 'ayyub'
apni KHatir magar kabhi na jiye
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 504)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.